I Do not write...

I Do not write... It just happened that i wrote these ;-)

Friday, December 31, 2010

Lamhe



wo lamha lamha ajnabi vaadiyo me
jis lamhe ko khoja karte the
aaj vahi lamha
unke saamne jee lene ko machla karta hai...


wo jindgi ko jeene ke liye
sharafat ka ghoongat nikale baithe the
ye to hum bhi jaante hai
kabhi unka bhi man shararat ko machla karta hai

Wednesday, December 8, 2010

My Winter Morning!!!

"Aaj bhore bhayi to peepal ped pe koyal cookee
door kshitiz se uthti hui kuchh aasha ki 'kirne' nilkli
khidki kholi to tan me sihran bijli jaisi kaundhi
pyaar liye aati hui sard 'hawa' jo chhu ke nikli"

Tuesday, December 7, 2010

Chahat


Baikhof ada baichain hawa ,suna yaar jara use dil ki raja
kahi mitti hai kahi sona hai,kabhi hasna hai kabhi rona hai

Jab kali koi muskaati hai,ek shore sunai deta hai
ek tees jigar me uthti hai,use pyaar dikhaai deta hai

Jalwa us shokh jawaani ka,kuchh khatta hai kuchh meetha hai
na milna usse mumkin hai, wo kuchh sachha hai-kuchh jhootha hai

Sabka apna afasana , sabki apni manjil hai
sab khud se hi hai anjaane, yun duniya kitni mushkil hai

Jisne 'arth' ko samjha hai,wo na bahka hai na fisla hai
uski na koi chahat hai,na uski koi manjil hai